Umeed Abhe Kuch Baqi Ha


"Umeed Abhe Kuch Baqi Ha"
”Umeed abhi kuch baqi hai ,
Ik basti basne wali hai .
Jis basti mein koi zulm na ho,
Aur jeena koi jurm na ho.
Wahan phool khushi k khilte hon,

Aur mousam sare milte hon .
Bas rang aur noor baraste hon,
Aur sare hanste baste hon .
Umeed hai aisi basti ki,
Jahan jhoot ka karobar na ho.
Dehshat ka bazar na ho,
Jeena bhi dushwar na ho .
Marna bhi aazaar na ho,
Yeh basti kaash tumhari ho ,
Yeh basti kaash hamari ho.
Wahan khoon ki holi aam na ho ,
Us aangan gham ki shaam na ho.
Jahan munsif se insaaf mile ,
Dil sab ka sab se saaf mile.
Ik aas hei aisi basti ho ,
Jahan roti zehar se sasti ho.”



><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><